You have to stand guard over the development and maintenance of democracy, social justice and the equality of mankind in your own native soil. [Mohammed Ali Jinnah]

Sunday, November 18, 2007

Do we even remember what we used to recite in schools?

lab pey aati hai dua banke tamanna meri

zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

ho mere dam se yuuN hi mere watan ki zeenat

jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab

ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

ho meraa kaam Garibon ki himayat karna

dardmandon se zaifon se mohobbat karna

mere allah burai se bachaana mujhko

nek jo raah ho us raah pe chalana mujhko

lab pey aati hai dua banke tamanna meri

zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

No comments: